Masaael E Sajdah E Sahw 11

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahu 🥀*



🇮🇳 11_

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Sajda e Sahw ke 3 Tareeqe*

*Tareeqa No.* 1⃣: Sajda e sahw kisi kami ki wajah se wajib hua ho ya kisi zyadati ki wajah se usko ada karne ke liye Hanafi maslak mein 3 tareeqe hain. Pehla tareeqa ye k aakhri qa’dah mein puri attahiyyaat padhne ke bad dahini (seedhi ) taraf salam phere, uske ba’d 2 sajde kare aur donon sajdon mein hasbe dastoor “Sub’hana Rabbiyal a’la” padhe, phir sajde se sar utha kar qa’dah mein baithe aur dobara attahiyyaat, durood sharif aur dua e maasura padh kar namaz se nikalne ke liye donon taraf salam phere. (Alamgiri pg. 65, J1)

📌 *Mas’ala* : Sajda e sahw ke waqt attahiyyaat ke b’ad agar salam nahin phera aur sajda e sahw kar liya to bhi jaiz hai magar aisa karna makrooh e tanzihi hai. (Alamgiri pg. 65 J1)

📌 *Mas’ala* : Agar bhool kar donon taraf salam pher diya aur fouran yaad aa gaya ki sajda e sahw karna hai to usi waqt sajda e sahw kare phir attahiyyaat wagirah padh kar salam phere, namaz ho gayi, ba-sharte ki koi aisi chiz jo namaz ke manafi ho na payi gayi ho, magar qasdan donon taraf salam pher diya aur yaad tha ki sajda e sahw karna hai to is soorat mein namaz lautani padegi, sajda e sahw se kaam na chalega. (Alamgiri pg. 65 J1, Fatawa Razaviyya pg. 638, J 4)

📌 *Mas’ala* : Agar munh saamne kiye huye salam ke alfaaz kahe chehra phera nahin aur sajda e sahw kar liya to bhi namaz ho gayi lautane ki zarurat nahin. Imam Fakhrul Islam Alaihir Rahma ne isi ko ikhtiyaar farmaya hai. (Fatawa Amjadiya, pg. 281, J1)

*Tareeqa No.* 2⃣: Dusra tareeqa ye hai ke aakhri qa’dah mein attahiyyaat, durood sharif aur dua padh kar dahini taraf salam phere aur sahw ke liye 2 sajde kare, phir qa’dah mein baith kar sirf attahiyyaat padhe aur donon taraf salam phere, durood sharif aur dua padhne ki zarurat nahin. (Fatawa Amjadiya pg. 281, J1)

*Tareeqa No.* 3⃣: Teesra tareeqa ye hai ki aakhri qa’dah mein attahiyyaat , durood sharif aur dua padh kar dahini taraf salam phere aur sahw ke 2 sajde kare, phir baith kar qa’dah mein dobara attahiyyaat , durood sharif aur dua e maasura padh kar donon taraf salam phere. ( Alamgiri pg. 65, J 1, Fatawa Amjadiya pg. 281, J 1)

✅ Hazrat e Sadrush Shari’ah Maulana Amjad Ali Sahab Azmi Musannif e Bahar e Shari’at Alaihir Rahma war-ridwan mazkura teenon tareeqon ke bare mein farmate hain, sab durust hain in mein se koi soorat makruh bhi nahin hai aur ye sab tareeqe mazhab e Hanafi ke mutabiq hain. (Fatawa Amjadiya pg. 281 J 1)

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है