Masaael E Sajdah E Sahw 02

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*




🇮🇳 02

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلامعليك يا رسول الله ﷺ 

*Sharayet E Namaz Ki Tafseelaat*

1⃣ Taharat: Y’ani namazi ke badan ka hads e akbar (jis se ghusl wajib hota hai) hads e asgar (jis se wazu tut’ta hai) aur najasat e haqeeqiya qadr e maane’ (yani utni najasat jis se namaz durust na ho) se pak hona, yun hi kapde aur namaz padhne ki jagah ka najasat e haqeeqiya qadre maane’ se pak hona namaz ki pehli shart hai.

2⃣ Satr e aurat: Y’ani namazi ke badan ke wo tamam hisse jin ka chhupana farz hai, un ko namaz ki haalat mein chhupa hua rakhna namaz ki dusri shart hai. Mard ke liye satr e aurat naaf ke niche se lekar ghutnon ke niche tak hai, aur aurat ke liye uska saara badan, siwaye munh ki tikli, hath ki hatheliyon aur paun ke talwon ke.

3⃣ Istaqbal e Qibla: Y’ani namaz ki haalat mein K’abah ki taraf munh karna, namaz ki teesri shart hai.

4⃣ Waqt: Y’ani Islam ne namazon ke liye jo awqaat muqarar kiye hain unka shuru’ ho jana, namaz ki chauthi shart hai, agar waqt se pehle namaz padhi to na hogi.

5⃣ Niyyat: Y’ani Takbir e Tahreema se pehle jis namaz ke padhne ka irada hai uska dil mein pukhta irada karna, namaz ki panchwein shart hai. Niyyat dar asl dil ke irade ka naam hai, magar zaban se niyyat ke alfaaz keh lena mustahab hai.

6⃣ Takbir e Tahreema: Yani niyyat ke b’ad namaz shuru’ karne ke irade se wo alfaaz kehna jo khaas ALLAH Ta’ala ki ta’zeem par dalalat karte hain, jaise ALLAHU Akbar, ALLAHU Ajal, ALLAHU A’zam, ALLAHU Kabeer, La ilaha illal laah,TabarakAllah, Sub’han ALLAH, ya Alhamdulillah wagairha, in alfaaz ke keh lene se namaz shuru ho jayegi magar lafz ALLAHU Akbar kehna wajib hai, usko dusre alfaaz se badalna makrooh e tahreemi hai, takbir e tahreema namaz ki chhati shart hai.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है