Masaael E Sajdah E Sahw 06
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 06
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلامعليك يا رسول الله ﷺ
*Namaz ki Sunnatein aur unki Tafseelaat*
🔃 Mandarja e zel baatein namaz mein sunnat hain, unka ada karna ba’is e sawab chhodna bura aur mehroomi hai , sunnaton ko hargiz chhodna nahin chahiye qasdan chhodne se sawab mein kami aur namaz naaqis ho jati hai, magar sajda e sahw waajib nahin hota aur sunnat chhodne ki aadat bana lena sakht bura aur ‘ataab aur ‘azaab ka sabab hai.
1) Takbir e Tahreema ke liye donon haathon ko uthana
2) Mardon ko Takbir e Tahreema kehne se pehle donon haathon ko kaanon tak uthana
3) Aurton ko mondhon tak donon haathon ko uthana
4) Hatheliyon aur ungliyon ke pet Qibla ki taraf rakhna
5) Haathon ki ungliyon ko apne haal par rehne dena na khoob kushada karna na aapas mein mili hui rakhna
6) Takbir kehte waqt sar na jhukana balki seedha rakhna
7) Witr mein Qunoot ki takbir se pehle donon haathon ko uthana – mard kaanon tak aur aurat mondhon tak
8) Eidain mein zaayed takbiron se pehle donon hathon ka uthana
9) Har takbir mein lafz ALLAHU AKBAR ki “ra” ko jazam padhna
10) Ek rukn se dusre rukn ki taraf muntaqil hote huye rukn ko ALLAH ki “Alif” se shuru karna aur AKBAR ki “ra” par khatm karna
11) Imam ka buland awaaz se “ALLAHU AKBAR” aur “samiALLAHU liman hamidah” kehna
12) Takbir E Tahreema ke b’ad haath ko na latkana foran baandh lena – mard naaf ke niche aur aurat seene par
13) Imam ki takbiron ki awaaz muqtadiyon tak pahunchane ke liye ba-waqt e zarurat Mukabbir muqarar karna
14) Qayaam mein paun ke donon panjon ke darmiyaan 4 angul ka faasla rakhna
15) Qayaam ki haalat mein thodi der ek paun par zor dena thodi der dusre paun par wazan dena
16) Imam aur munfarid (tanha namaz padhne wala) ko sana’, Auzubillah, aur Bismillah padhna aur aahista padhna aur muqtadi ko sirf sana’ padhna
17) Pehle Sana’ phir Auzubillah uske b’ad Bismillah padhna aur unke darmiyaan waqfa na karna
18) Eidain ki Takbir E Tahreema ke b’ad Imam aur muqtadi ko sana’ padhna aur takbiraat e waajiba ke b’ad y’ani pehli rak’at ki chauthi takbir ke b’ad sirf Imam ka T’auuz aur Tasmiyah padhna
19) Surah Fatiha khatm hone par Aameen kehna aur Aameen aahista kehna
20) Pehli rak’at ke b’ad har rak’at ko Bismillah padh kar shuru’ karna
21) Ruku’ mein jate waqt ALLAHU AKBAR kehna
22) Ruku’ mein kam se kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” kehna
23) Ruku’ ki haalat mein mard ka ghutnon ko haathon se pakadna aur haathon ki ungliyon ko khoob khuli hui rakhna
24) Ruku’ mein aurat ka sirf ghutnon par haath rakhna aur ungliyon ko mili hui rakhna
25) Ruku’ mein mard ka itna jhukna ki peeth seedhi ho jaye
26) Aurat ka sirf itna jhukna ki haath ghutnon tak pahunch jaye
27) Ruku’ mein mard ka sar ko peeth ke barabar rakhna na bilkul jhukaye na uncha karke rakhe
28) Aurat sar ko peeth se uncha rakhe
29) Mard ka ruku’ ki haalat mein taangon ko tedhi na rakhna bilkul seedhi rakhna
30) Aurton ko ruku’ mein taangon ko tedhi rakhna mardon ki tarah seedhi na rakhna
31) Ruku’ se khade hone ke liye Imam ka “samiALLAHU liman hamidah” kehna aur buland awaaz se kehna
32) Muqtadiyon ko ruku’ se khade hone ke liye “Rabbana lakal hamd” ya “Rabbana wa lakal hamd” kehna
33) Tanha farz namaz padhne wale ko “samiALLAHU liman hamidah” aur “Rabbana lakal hamd” donon kehna
34) “ samiALLAHU liman hamidah” ki “ ha” ko saakin (jazam) padhna aur “daal” ko khinch kar na padhna k “d” ke bajaye “da” m’alum ho
35) “SamiALLAH” ki “Seen” se sar uthana shuru’ karna aur “liman hamidah” ki “ha” par seedha khada hona
36) Ruku’ se khade hokar haathon ko na baandhna balki latka hua chhod dena
37) Sajda mein jate huye aur sajde se sar uthate huye “ALLAHU AKBAR” kehna
38) Ruku’ se seedha khada ho kar sajde mein jate waqt pehle donon ghutne zameen par rakhna phir donon haath phir naak phir peshani jabki koi uzr na ho
39) Donon sajdon ke b’ad khade hote waqt zameen se pehle peshani phir naak phir donon haath phir ghutne uthana
40) Har sajda mein kam az kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal a’ala” kehna
41) Sajde mein donon paun ki dason ungliyon ke pet zameen par lagna, aur unka Qibla rukh hona, jabki koi uzr na ho
42) Sajda ki haalat mein donon haath ki ungliyaan aapas mein mili hui Qibla ki taraf hona
43) Sajda mein mard ka apne baazu ko karwat se aur pet ko raan se juda rakhna
44) Aurat ko simat kar sajda karna, y’ani baazu ko karwat se, pet ko raan se, raan ko pindliyon se, aur pindliyon ko zameen se chipkaye rakhna
45) Sajda mein mard ka apni kalaiyaan aur kohniyaan zameen par na bichhana balki hatheliyaan zameen par rakh kar kohniyaan upar ko uthaye rakhna
46) Aurat ka sajda mein kalaiyaan aur kohniyaan zameen se lagaye rakhna
47) Donon sajdon ke darmiyaan mard ka is tarah baithna ki baayaaN (ulta) qadam bichha kar y’ani mod kar us par baithe aur daayaaN (seedha) qadam is tarah khada rakhe ki ungliyaan Qibla ki taraf hon agar koi uzr na ho
48) Aurat donon paun daahini (seedhi) taraf nikaal de, aur baayein (ulte) surin ko zameen par rakh kar baithe, donon q’adon mein isi tarah baithe
49) Donon sajdon ke b’ad khade hote waqt donon panjon ke bal ghutnon par haath rakh kar khada hona
50) Q’adah e ula ke b’ad teesri rak’at ke liye uthte waqt zameen par haath ko tek kar na uthna, balki ghutnon par rakh kar uthna
51) Mard o aurat ka donon q’adon mein usi tarah baithna jis tarah 2 sajdon ke darmiyaan baithe the
52) Q’adah mein daayaaN haath daahini raan par aur baayaaN hath baayein raan par is tarah rakhna ki ungliyon ke sire ghutnon ke paas Qibla ru rahein, aur ungliyon ko apni haalat par rehne dena, na khuli rahein na mili hon
53) Sunnat e ghair mokadah aur nafl namazon ke q’ada e ula mein attahiyyaat ke b’ad durood sharif aur dua e maasoora padhna
54) Dua e maasoora ko ‘Arbi zabaan mein padhna
55) Attahiyyaat mein “Ash’hadu-al-la-ilaaha-illal-laah” padhte waqt daahine haath ki shahadat ki ungli uthana, is tarah se k daayein haath ki chhungliya (chhoti karn ungli) aur uske paas waali ungli ko band karna, aur bich ki ungli aur anguthe ko mila kar halqa ki shakl mein bana dena phir “la” par shahadat ki ungli uthana aur lafz “illa” par gira dena, aur haath ki hatheli ko pehle ki tarah seedhi bichha dena, na ki mutthi baandhe huye rakhna
56) Namaz puri karne ke b’ad “As-salamu alaykum wa rahmatullah” kehna
57) Salam 2 bar kehna, pehle daayein taraf phir baayein taraf
58) Imam ka donon salam buland awaaz se kehna
59) Salam pherne mein chehra itna pherna ki pichhe se ek taraf ka rukhsaar dikh sake
Tanbeeh: Salam ke b’ad sunnat ye hai ki Imam daayein ya baayein taraf ghoom jaye aur muqtadiyon ki taraf bhi munh karke baith sakta hai basharte k saamne koi namaz na padh raha ho magar daahini taraf munh karke baithna afzal hai.
Mas’ala: Zuhr aur Maghrib aur Isha ke b’ad chunki sunnatein padhni hain isliye mukhtasar dua maang kar sunnatein padhein. Taweel dua na maange ki sunnaton mein taakhir makruh hai, isi liye bade bade wazeefon ki bhi ijazat nahin, albatta Fajr aur Asr ke b’ad ikhtiyaar hai jis qadar zikr, wird aur dua karna chahe kar sakta hai magar muqtadi jab Imam ke sath dua mein shaamil hon k lambi dua se ukta jayein to Imam taweel dua na kare.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें