Masaael E Sajdah E Sahw 09
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 09
سم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Sajda e Sahw ki Haqeeqat*
✅ Sahw ka ma'ana hai bhoolna, namaz mein jo baatein wajib hain un mein se agar koi wajib bhool kar chhut jaye to namaz mein kami zyadati ho jati hai, maslan farz ki pehli 2 rak'aton mein, nafl, sunnat aur witr ki har rak'at mein Alhamdu sharif ka ek bar padhna wajib hai. Agar bhool kar Alhamd chhut jaye to namaz mein kami ho gayi aur 2 bar padh liya to zyadati ho gayi jis se namaz mein nuqsaan aa gaya, is qism ke nuqsaan ko dur karne ke liye shariat ne sajda e sahw (bhool ka sajda) karne ka hukm diya hai, sajda e sahw kar lene se namaz puri ho jati hai lautane ki zarurat nahin hoti albatta sajda e sahw wajib hone ki soorat mein agar na kiya gaya to namaz dobara padhni wajib hai haan agar sajda e sahw karne ke liye mauqa aur mahal na raha to saaqit ho jayega maslan fajr ki namaz mein sahw hua abhi pehla salam phera tha ki sooraj nikal aaya to sajda e sahw saaqit ho gaya, yun hi juma 'aur eidain ki namaz mein zyada hujum ki wajah se imam ne sahw ki soorat mein sajda e Sahw Nahin bhi kiya to namaz ki ho Jayegi Lautane Zarurat Nahin.
🔃 Khayal Rahe: Namaz mein agar koi Farz Jaise Ruku 'o Sujood Chhut Bhool kar gaya ho ya Qasdan (Bujh-jaan kar) ya koi wajib Qasdan Chhod diya to Phir sajda e sahw se kaam nahin chalega, namaz lautani hi padegi.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें