Masaael E Sajdah E Sahw 12
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 12
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Sajda E Sahw Se Muta’lliq Chand Ahadith E Kareema*
✔ *Hadith:* Hazrat e Mughira bin Sh’uba radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Nabi Kareem SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Sallam ek roz 2 rak’at padh kar khade ho gaye baithe nahin phir salam ke b’ad sajda e sahw kiya. ( Tirmizi Sharif ba-hawala Bahar e Shari’at Pg.28 J 4)
✔ *Hadith:* Sayyiduna Abdullah Bin Mas’ood Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai k Sayyid E Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Sallam ne zuhar ki namaz 5 raka’tein padhayein to Aap ne salam ke b’ad sahw ke 2 sajde kiye. (Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)
✔ *Hadith:* Sayyiduna Imran ibne Haseen Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ke Huzur e Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Sallam ne sahw ke sajde salam ke b’ad kiye , is hadith ko Hazrat e Imran ke alawa Ummul Mu’minin Aisha Siddiqa, Sayyiduna Abu Huraira,Sayyiduna Mughirah bin Shu’ba aur Sayyiduna Sa’ad bin Waqqaas Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen ne bhi riwayat kiya hai. (Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)
✔ *Hadith:* Hazrat Sayyiduna Saubaan Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Rasool e Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam ne farmaya ki sahw ke liye salam ke b’ad 2 sajde hain. (Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)
✔ *Hadith:* Sayyiduna Abdullah ibne Mas’ud Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Sayyid e Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Jis ko apni namaz mein shak ho jaye aur uski samajh mein na aaye ki 3 ra’katein padhi hain ya 4? to wo sawaab ko ikhtiyar kare (y’ani jitni ra’kat par dil jam jaye) usi par bina kare (y’ani agar 3 padhne par dil jamta hai to ek aur padh le aur 4 par jamta hai to qa’dah mein baith jaye) aur 2 sajde (sahw ke ) salam ke b’ad kare. (Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)
✔ *Hadith:* Sayyiduna Amirul Mu’minin Umar e Farooq Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi hai ki Huzur Sayyid E Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo muqtadi imam ke pichhe hain unke sahw ka aitbaar nahin. Agar imam ko sahw hua to sajda e sahw imam aur muqtadi donon par hai. (Bazaz, Baihaqi, ba-hawala Fatawa Razaviyya pg. 641, J 3)
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें