Masaael E Sajdah E Sahw 13

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



 🇮🇳 13

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Namaz Ki Ibteda*

*Qayaam:* Y’ani khada hona, panj waqta farz, juma’, witr, aur eidain ki namazon mein aur fajr ki sunnat mein qayaam farz hai (y’ani khade hokar padhna) bila uzr e sahih ye namazein baith kar padhi gayi to durust na hongi dobara khade hokar padhna farz hai. (Durre Mukhtar pg. 414, J 1)

📌 *Mas’ala:* Agar asa ya khadim ya deewaar par tek laga kar khada ho sakta hai to farz hai ki khada ho kar padhe baith kar padhna jaiz nahin hai. (Ghuniya ba-hawala Bahar e Shari’at, pg. 70 J 3).

📌 *Mas’ala:* Khade hone se thodi takleef hoti hai to uzr nahin hai balki qayaam us waqt saaqit (ma’af) hoga aur namaz baith kar padhne ki ijazat hogi jabki bilkul khada na ho sake, ya khada to ho sakta hai magar khada hokar phir sajda nahin kar sakta, ya koi aisa zakhm hai ki khade hone se qatra aata hai ya koi aisa marz hai jaise saans phoolna,haanp aana ki uski wajah se bilkul qira’at karne se majboor ho jata hai ya aisa marz hai ki khade hone se wo marz badh jayega ya der mein achha hoga yak khade hone mein naqaabil e bardasht takleef hogi to baith kar padh sakta hai. (ye hai uzr e sahih aur majboori) (Bahar e Shariat pg.70 J 3).

📌 *Mas’ala:* Agar utni taaqat hai ke khada hokar sirf takbir e tahreema ALLAHU AKBAR keh sakta hai to farz hai ki khada ho kar takbir e tahreema kahe phir baith kar namaz padhe. (Bahar e Shariat pg.70 J 3).

🔃 *Tanbeeh:* Huzur Sadrush Shari’ah Maulana Amjad Ali Sahab Qibla Musannif e Bahar E Shari’at Alaihir Rahmatu war-ridwan Bahar e Shari’at mein farmate hain ki aaj kal umuman ye baat dekhi jati hai ki zara bukhar aaya, ya thodi si takleef hui, baith kar namaz shuru’ kar di, halanki wahi log usi haalat mein 10 -15 minute , adha ghanta idhar –udhar ki baatein karte khade rehte hain, unko chahiye ki in masail ko khayal mein rakhein jitni namazein khade hone ki taaqat ke bawajood baith kar padhi hai unka lautana farz hai. ALLAH Ta’ala taufiq ata farmaye.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है