Masaael E Sajdah E Sahw 16
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 16
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
✅ *Niyat:* Niyat namaz ke liye shart hai, bila niyat padhi to namaz na hogi, niyat asl mein dil ke pukhte irade ka naam hai, lihaza jo namaz padhni ho, pehle uska dil mein is tarah pukhta irada kare k agar puchh liya jaye k kaun si namaz padhna chahte ho, to fauran bila ta’mmul bata sake ki falaan waqt ki falaan namaz padhne ka irada hai, agar haalat aisi nahin balki soch kar batana pade to ye niyat kaafi nahin. (Shaami, pg. 385, J 1)
📌 *Mas’ala:* Farz namazon mein farz e waqt aur us khaas namaz ki niyat zaruri hai jo padhna chahta hai. Maslan yun niyat kare ki maine aaj ke zuhar ya asr ke farz ki niyat ki, aur agar kisi imam ki iqteda mein padh raha ho to muqtadi ko imam ki iqteda ki niyat bhi zaruri hai. Ya’ni yun niyat kare ki maine niyat ki falaan namaz ki is imam ke pichhe ya iqteda mein. (Aammah Kutub)
📌 *Mas’ala:* Nafl, Sunnat aur Taraweeh mein mutlaq namaz ki niyat kaafi hai, magar behtar ye hai ki taraweeh mein taraweeh ki aur sunnaton mein sunnat ki niyat kare.(Bahaar E Shari’at, pg. 54, J 3)
📌 *Mas’ala:* Niyat mein rak’at ki ta’dad ka t’ayyun zaruri nahin, afzal hai maslan yun niyat ki k maine aaj ke zuhar ke farz ki niyat ki ya yun niyat ki k maine aaj ke zuhar ke 4 ra’kat farz ki niyat ki. Donon durust hain, magar ra’kat ki ta’dad ke sath niyat karni afzal hai. (Bahaar E Shari’at, pg. 54, J 3)
📌 *Mas’ala:* Niyat mein zabaan se alfaaz kehna zaruri nahin, agar keh liya to behtar hai, Ulama e Kiraam ne is ko mustahab bataya hai, agar bila-niyat namaz shuru kar di phir khayal aaya ki niyat nahin ki hai to dobara niyat karke phir takbir e tahreema kahe warna namaz hi na hogi. (Bahaar E Shari’at pg. 54, J 3)
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali.*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें