Masaael E Sajdah E Sahw 17
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 17
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Takbir E Tahreema*
📌 *Mas’ala:* Takbir e tahreema namaz ke liye shart hai, baghair takbir e tahreema ke namaz shuru hi nahin hogi, takbir e tahreema mein lafz “ALLAHU AKBAR” kehna wajib hai, iske alawa aise alfaaz jo ALLAH Ta’ala ke azmat o kibriyaai ke liye khaas hain agar un se tahreema baandhi to bhi namaz shuru ho jayegi, magar aisa karna makrooh e tahreemi hai maslan ALLAHU Kabeer, Ar-Rahmanu Akbar, Sub’han ALLAH, Alhumdulillah, TabaarakALLAH, ya sirf ALLAH ya ALLAHUMMA kaha (Alamgiri pg. 76, J 1) magar is se sajda e sahw wajib na hoga kyunki ye karahat namaz se khaarij hai.
📌 *Mas’ala:* Jin namazon mein qayaam farz hai un namazon mein takbir e tahreema bhi khade ho kar kehna farz hai, agar baith kar ALLAHU AKBAR kaha phir khada ho gaya to uski namaz shuru hi nahin hui. (Durre Mukhtar; Aalamgiri; ba-hawala Bahaar E Shari’at, pg. 68, J 3)
📌 *Mas’ala:* Nafl namaz mein qayaam farz nahin, is liye is mein takbir e tahreema baith kar kehna jaiz hai.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali.*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें