Masaael E Sajdah E Sahw 27
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 27
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Sana’, Ta’uz, Aur Tasmiya Mein Bhool*
_Sana’, Ta’uz, Tasmiya, Bhool Gaya Ya Awaz Se Ya Khilaf E Tarteeb Padha_
📌 *Mas’ala:* Sana’ ya’ni “Sub’hanaka Allahumma wa bihamdika..” aakhir tak, ta’uz ya’ni “A’uzubillahi minash-shaitaanir- rajeem”, tasmiya ya’ni “Bismillahir-rahmanir-raheem” ko takbir e tahreema ke ba’d hath baandh kar aahista padhna sunnat hai jab ki imam ho ya tanha namaz padh raha ho, aur agar imam ke peeche namaz padhe to sirf sana’ padh kar khaamosh ho jaye, A’uzubillah aur Bismillah na padhe.(Aammah Kutub)
📌 *Mas’ala:* Sana’, ta’uz aur tasmiya mein se koi ek ya sab bhool kar chhut jaye to na sajda e sahw hai na namaz mein karahat aayegi, albatta jaan-bujh kar chhodna makruh hai. (Shaami; Bahaar e Shari’at pg. 54, J 4)
📌 *Mas’ala:* Sana’ ta’uz aur tasmiya tarteeb se padhna sunnat hai ya’ni pehle “Sub’hanaka Allahumma”, phir “Auzubillah”, iske ba’d “Bismillah” padhna chahiye, magar kisi ne khilaf e tarteeb padha to sajda e sahw nahin magar qasdan aisa karna bura hai. (Aammah Kutub)
✅ *Faida E Jalilah:* A’la Hazrat Imam Ahmad Raza Alaihir Rahmatu war-ridwaan Fatawa e Razaviyya Jild 3, pg. 53 par farmate hain ki har ra’kat mein “Alhamdu shareef” se pehle aur surah milane ke waqt shuru surah par “Bismillah shareef” aashista padhna mustahab aur mustah’san hai. Khwah sirri namaz ho ya jehri, sab aimma e kiraam is ko achha aur behtar jaante hain. Is mein kisi ka ikhtelaaf nahin, ikhtelaaf sirf sunnat hone mein hai ki ibteda e surah fatiha par jis tarah Bismillah shareef padhna sunnat hai isi tarah ibteda e surah par bhi sunnat hai ya mustahab, Sayyiduna Imam Muhammad Radi ALLAHU Ta’ala Anhu ke nazdeek sirri namazon mein sunnat hai.Muheet, Muzmiraat, Inaya, aur Mustasfa wagairha mein isi ki tasreeh farmayi aur mazhab e Imam e Azam Abu Haneefa Radi ALLAHU Ta’ala Anhu mein sirf iske sunnat hone ki nafi farmayi hai, aur isi par fatwa hai, aur jahan jahan Mutaween mein “ La ya’ti wala yasma” farmaya gaya hai wahan murad sirf nafi istenan (sunnat ki nafi) hai, bahar-haal us ki khoobi o husn par humare sab aimma ka ittefaq hai. (Mulkhisan)
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali.*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें