Masaael E Sajdah E Sahw 28

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



 🇮🇳 28

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Qira’at Mein Bhool Par Sajda E Sahw*

🔃 *Tanbeeh:* Namaz mein jo qira’at wajib hai uske 2 hisse hain, ek hissa puri surah fatiha padhna, ya’ni “Alhamd” se “walad-daaleen” tak ek ek lafz ka padhna wajib hai, dusra hissa surah ka padhna hai, ya’ni surah fatiha padhne ke ba’d surah milana, ya’ni kisi surah mein se itna padhna ke 3 chhoti aayaton ke barabar ho jaye. Fuqaha e Kiraam Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen ne 3 chhoti aayaton ki miqdar “summa nazara summa ‘abasa wa yasara summa adbara wastakbara” se mut’ayyan farmayi hai. (Sagheeri pg. 150)

In aayaton mein kul 27 huruf hain, aur agar teenon “summa” ki “meem” jo mushaddad hai isko 2 harf maanein to kul 30 huruf huye jaisa ki Allama Shaami ne farmaya hai: “Aye mislu summa nazar…. alkh. Wahiya salasuna harfan falao qara’a aayatan taweelatan qadra salaseena harfan yakunu qad aati biqadri salasi aayaatin.” Akhir tak ye kul 30 huruf hain, to agar kisi ne ek aayat itni lambi jo 30 huruf ke barabar hai padh li to ye maan liya jayega ki us ne 3 aayaton ki miqdar padh liya. Lihaza “Alhamd shareef” ke ba’d kisi surah mein se itna padh liya jo 27 ya 30 huruf par mushtamil hai to wajib ada ho gaya, uski namaz ada ho jayegi.

📌 *Mas’ala:* Surah fatiha ya zam e surah farz namazon ki pehli 2 rak’aton mein, yunhi nafl, sunnat aur wajib namazon ki har rak’at mein wajib hai aur mutlaqan qira’at farz hai. Imam aur tanha namaz padhne wale (munfarid) par qira’at karna wajib aur farz hai. Imam ki iqteda mein namaz padhne walon par nahin hai kyunki imam ki qira’at muqtadi ke liye kaafi hai.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है