Masaael E Sajdah E Sahw 29

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



🇮🇳 29

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Surah Fatiha Padhne Mein Bhool*

_Surah Fatiha Ya Iska Koi Lafz Bhool Gaya_

📌 *Mas’ala:* Farz ki pehli 2 rak’aton mein, wajib, nafl, sunnat, aur taraweeh ki kisi rak’at mein puri Alhamd Sharif * ya iski ek aayat ya ek lafz bhi padhne se reh gaya to sajda e sahw wajib hai.
(Shaami pg. 426, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 54, J 4)

(*) Namaz mein surah fatiha wajib hai lekin Fuqaha e Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen ka is mein ikhtelaf hai ki aaya puri surah fatiha padhne se wajib ada hoga ya aksar padh le to bhi ada ho jayega. Aalamgiri J 1, pg. 65 par hai “ namazi ne surah fatiha ka aksar hissa padh liya aur baqi bhool gaya to is par sajda e sahw nahin aur agar aksar hissa reh gaya to sajda e sahw hai” ,aur Durre Mukhtar Sharah Tanweer ul Absaar bar Hashiya Shaami J 1, pg.26 par hai “surah fatiha ka aksar hissa chhut jane par sajda e sahw hai kam par nahin” lekin Kitab Mujtaba mein hai ki “surah fatiha ki ek aayat bhi chhut gayi to sajda e sahw wajib hai aur yahi aula hai”, main kahunga ki is qaul ki bina par surah fatiha ki har aayat padhna wajib hai aur Durre Mukhtar ki mazkura ibarat par tabsara karte huye Allama Shaami Alaihir Rahma farmate hain ki “ jo kuchh sahib e Mujtaba ne farmaya hai ki “har aayat ka padhna wajib hai ,is ka madaar Sayyiduna Imam e Azam Radi Allahu Ta’ala Anhu ke qaul par hai , unke nazdeek namaz mein puri surah fatiha ka padhna wajib hai aur sahib e Mujtaba ka ye farmana ki har aayat ka padhna wajib hai mahaz tamseel ke taur par hai qaid ke liye nahin, lihaza fatiha ki ek aayat ya kam agarche ek lafz ho, padhne se reh gaya to wajib ada nahin hua, kyunki puri surah ka padhna wajib hai”. Ma’lum hua ki fatiha ka ek lafz bhi chhut jaye to sajda e sahw wajib hai. Isi ko Hazrat Sadrush Shari’ah Alaihir Rahma ne Bahaar e Shari’at mein ikhteyaar farmaya hai. Farmate hain “Alhamd” ka ek lafz bhi reh gaya to sajda e sahw wajib hai. (Durre Mukhtar) aur ehtiyaat bhi isi mein hai. Wallahu Ta’ala A’lam

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है