Masaael E Sajdah E Sahw 33
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 33
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Alhamd Bhool Gaya Surah Shuru Kardi*
📌 *Mas’ala:* Farz ki pehli ya dusri ra’kat mein, nafl, sunnat aur witr ki kisi rak’at mein Alhamd padhna bhool gaya aur surah shuru kar di aur ek chhoti aayat ki miqdar padh liya * ab yaad aaya to us ko chhod de aur Alhamd padh kar surah milaye sajda e sahw ki zarurat nahin namaz ho gayi.
(Aalamgiri, pg. 65, J 1)
(*) Hazrat e Imam Abu Lais Samarqandi Alaihir Rahma ke nazdeek aayat ki qaid nahin, agar ek lafz bhi padh liya to sajda e sahw wajib.
📌 *Mas’ala:* Agar puri surah padh lene ke ba’d yaad aaya, ya ruku mein ya ruku se sar uthane ke bad yaad aaya ki Alhamd padhna bhool gaya hai to Alhamd padhe phir dobara ruku kare aur ba’d mein sajda e sahw kare. (Aalamgiri, pg. 65, J 1)
❗*Agar Dobara Ruku Nahin kiya to Namaz Faasid ho jayegi Namaz Dobara Padhni Zaruri hai.*
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें