Masaael E Sajdah E Sahw 37

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



 🇮🇳 37

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Qayaam Mein Alhamd Se Pehle Ya Ba’d Attahiyyaat Padha*

📌 *Mas’ala:* Farz ki pehli ya dusri rak’at mein Alhamd padhne ke ba’d attahiyyaat padhi to sajda e sahw wajib hai aur Alhamd se pehle padhi to nahin. (Aalamgiri, pg. 66, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 53, J 3)

📌 *Mas’ala:* Farz namaz ki pichhli rak’aton ke qayaam mein attahiyyaat padh li to sajda e sahw wajib nahin hai. (Aalamgiri, pg. 66, J 1)

📌 *Mas’ala:* Nafl, sunnat, aur witr ki kisi rak’at mein Alhamd ke ba’d attahiyyaat padhi to sajda e sahw wajib hai khwah puri ya aadhi ya sirf “attahiyyaatu lillahi” tak padhe bahr surat sajda e sahw wajib hai. * (*) ye isliye hai ki Alhamd ke ba’d aameen wagairah ada karne ke ba’d muttasilan zam e surah wajib hai darmiyan mein ajnabi ka fasl ya ek rukn ki miqdar khaamoshi se tark e wajib hua. Isliye sajda e sahw wajib hai.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है