Masaael E Sajdah E Sahw 48

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



🇮🇳 48

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Ek Choti Surah Darmiyan Se chhod Kar Padhi*

📌 *Masla :* Pehli Rakt me koi surah padhi awr dusri rakt me ek choti surah darmiyan se chhod kar padhi to ye Makrooh hai. agar woh darmiyan wali surah badi hai ke agar isko padhta hai to dusri rakt ki Qira'at Pehli se taveel hojayegi to is surat me harj nahi. Wat Tin ke Inna Anzalna padhne me harj nahi awr Iza'aja ke baad Qul Hu ALLAHU Ahad darmiyan se Tabbat Yada chhod kar na padhna chahiye. (Durre Mukhtar J1 P465, Bahare Shariat J3 P102).

📌 *Masla :* Farz Ki Pehli rakt me ek surah ki chnd aayatein ek jagah se padhi awr dusri rakt me isi surah ki chnd aayatein padhi to harj nahi. (Shami J1 P465, Bahare Shairat J1 P 102)

📌 *Masla :* Agr kisi ne ek hi rakt me kisi surah ki chnd aayetein padhi phir kch chhod kar dusri jagah se isi surah ki chnd aayatein padhi to aisa karna Makrooh hai awr agar bhool kar aisa hua to yaad aate hi lautaye awr chuti huye aayetein padhe, magar isper Sajdah Sahw wajib nahi. (Shami, Bahare Shariat J1 P101)

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है