Masaael E Sajdah E Sahw 52

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



🇮🇳 52

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Farz Ki Ek Hi Rakt Mein Do Suratein Padhein*

📌 *Masla :* Farz ki ek hi rakt mein do suratein ek hi saath milakar padh di agar munfarid (Tanha Namaz Padh raha ho) to harj nahi, ba sharte ke dono suraton mein fasla na ho, agar darmiyan se ek ya chnd suratein chhod kar padhi to makrooh hai awr imam ko behre surat aisa na karna chahiye magar sajdah sahw wajib nahi. (Bahare Shariat J4 P54).

*Surah Padhne Ke Douran Sochne Laga Ke Kia Padho?*

📌 *Masla :* Qira'at karne ke douran ruk kar sonchne laga ke kia padho? is sonch me ek rukn yani 3 ba'ar Subhan ALLAH kehne ki miqdar takheer hogaye to sajdah sahw wajib hai. (Shami, Bahare Shairat J4 P54).

📌 *Masla :* Qira'at ke ba'ad ruku me jane se pehle ek rukn ki miqdar khada sonchta raha fir ruku me gaya to ispar sajdah sahw wajib nahi. (Aalamgiri J1 P65).

*Surah Padhte Huye Bhool Gaya Fir Shuru Se Padhi*

📌 *Masla :* Kisi ne surah shuru ki awr aada hissa ya kam ya ziada padhkar bhool gaya fir dobara shuru se padhker khatam kia to Namaz hogaye sajdah sahw wajib nahi hai. (Fatawa Sirajiya Bar Hashiya Qazi Khan P72).

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है