Masaael E Sajdah E Sahw 60
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 60
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Namaz Mein Jahr (Awaz Se) Awr Sirr (Ahista) Padhne Per Sajdah Sahw*
*Jahr Awr Sirr Ka Maana*
*Jahr :* Yani awaz se padhna shariat mein Jahr se padhne ka matlab yeh hai ke jo log pehli saff mein hain woh awaz ko sun sake yeh Jahr ka adna (Kam Se Kam) darja hai. Aala Keliye koi hadh muqarar nahi albatta zarurat se ziada is qadr buland awaz se padhna ke apne ya dusre keliye baese takleef ho makrooh hai. isse bachna zarori hai awr itna ahista padhna ke khareeb ke do ek aadmi sunsake Jahr nahi kehlayega. (Shami, Durre Muqtar, Bahare Shariat wagaira Aamma Kutub).
*Sirr :* Yani ahista padhna Sirr ka adna darja ye hai ke khud sune agar sirf honth hilaye ya is qadr ahista padhe khud bhi na sunsake isko Sirr na kaheinge. is tarah namaz mein Qur'an padhne se Namaz hi nahi hogi, behre haal ahista padhne mein itna zarori haike agar shor O gul nahi haito apni awaz khud sune. (Aamma Kutub).
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें