Masaael E Sajdah E Sahw 61

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



🇮🇳 61

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Namaz Mein Jahr (Awaz Se) Awr Sirr (Ahista) Padhne Per Sajdah Sahw*

*Kin Namazon Ki Kin Rakaton Mein Jahr Awr Sirr Wajib Hai*

Maghrib awr Isha ki pehli 2 rakaton mein, Fajr, Jumua, Eidein, Taraveh awr Ramadan Al Mubarak Witr Bajam'aat ki Har Rakt mein Imam per Wajib hai ke Alhmad Shareef awr Sureh ko Jahr ke saath (Buland Awaz Se) padhe awr jin Namazon mein Imam per Jahr wajib hai inko "Jahri Namaz" kehte hain.

Namaz Maghrib ki Teesri awr Isha ki Tesri awr Chowthi rakt mein Alhamd Shareef ahista padhi jayegi Zohar awr Asr ki sab rakaton mein Imam awr Munfarid (Tanha Padhne Wala) per ahista Qir'aat karni wajib hai inko "Sirri Namaz" kehte hain.

📌 *Masla :* Din ki Nafli Namazon mein Qir'aat ahista karni wajib hai Raat ki Nafli Namazon mein Ikhtiyar hai Ahista padhe ya Buland Awaz se padhe dono jaiz hai.

📌 *Masla :* Jahri Namazon mein Munfarid (Tanha Namaz Padhne Wale) ko Ikhtiyar hai Jahr kare ya Ahista padhe Jaiz hai, magar Jahri Namazo mein Buland Awaz se padhna afzal (Behtar) hai. (Aammae Kutub). 

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है