Masaael E Sajdah E Sahw 65

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



🇮🇳 65

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Namaz Mein Jahr (Awaz Se) Awr Sirr (Ahista) Padhne Per Sajdah Sahw*

*Gair Namazi Ke Kehne Se Imam Ne Ahista Padha Ya Iska Luqma Liya*

📌 *Masla :* Zohar Ya Ars ki namaz me bhool kar imam ne buland awaz se Qir'at shuru ki awr kisi dusre shaks ne jo iske saath namaz me shareek nahi hai kaha ke ahista padho iske kehne se kuch tauquf karne ke baad ahista padhna shuru kia to Namaz hogaye awr agar iske kehne per fauran bila tauquf ahsta padhna shuru kia to Namaz lautani padegi. (Durre Muqtar Bar Hashiya Shami J1 P 571).

🔃 *Tanbiya :* Khayal rahe ke agar ek choti ayat ki miqdar jisse Qir'at ka farz ada hojata hai buland awaz se padhlia toh is surat mein Sajdah Sahw wajib hoga warna nahi.

📌 *Masla :* agar Imam Qir'at karte huye bhool gaya awr kisi dusre shaks ne jo iske saath namaz me shareek nahi hai luqma dia awr Imam ne iska luqma lelia awr fauran bila tauquf iske batane se padhna shuru kia to Namaz fasid hogaye, lautani padegi awr kuch tauquf ke baad padha to Namaz hogaye Sajdah Sahw ki zarorat nahi. (Durre Muqtar Bar Hashiya Shami J1 P 571)

🔃 *Tanbiya :* khayal rahe batane ya luqma dene ke baad itna tauquf kia ke jitni der me ek rukn 3 martaba Subhan ALLAH kaha jasakta haito is surat me bhi isper sajdah sahw wajib hoga agar sajdah sahw nahi kia to namaz lautani padegi.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है