Masaael E Sajdah E Sahw 10
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah Eahw 🥀*
🇮🇳 10
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Sajda e Sahw Wajib Hone ki Sooratein*
1⃣. Namaz ke wajibaat mein se koi wajib bhool kar chhut jaye maslan farz ki pehli 2 rak’aton mein surah Fatiha bhool jaye ya surah milana bhool jaye
2⃣. Ya kisi wajib ko us ki jagah se muqaddam ya muakhkhar (aage ya pichhe ) kar de maslan surah pehle padhe aur Alhamd uske b’ad padhe
3⃣. Ya kisi wajib ki adayegi mein ek rukn y’ani 3 bar Sub’han ALLAH kehne ki miqdaar khada sochta raha ki kya padhun?
4⃣. Ya kisi wajib ko dobara ada kare, maslan surah Fatiha ko farz ki pehli 2 rak’aton mein 2 – 2 bar padhe ya sirf pehli mein 2 bar padhe.
5⃣. Ya kisi wajib ko badal de maslan imam jehri namaz mein aahista aur sirri mein buland awaaz se qira’at kare
6⃣. Ya namaz ke farzon mein se kisi farz ko uski jagah se hata kar b’ad mein ada kare maslan pehle sajda b’ad mein ruku’ kare
7⃣. Ya kisi farz ko mukarrar ada kare y’ani jis farz ko ek rak’at mein ek hi bar ada karna hai us ko 2 bar ada kare jaise ruku’ 2 bar ada kare ya jis farz ko 2 martaba ada karna hai us ko 2 se zyada bar ada kare maslan ek rak’at mein 2 sajde ke bajaye 3 ya 4 sajde kare. In sab suraton mein sajda e sahw wajib hai.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें