Masaael E Sajdah E Sahw 107
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*
🇮🇳 107
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
*Teda'ad Rakt Mein Sahw*
✳ *_Pehli Ya Teesri Rakt Mein Baith Gaya_* ✳
📌 *Masa'la :* koi shaks pehli ya teesri rakt me bhool kar baith gaya awr 3 bar Subhan ALLAH kehne ki miqda'r se kam baith kar utha to sajdah sahw wajib nahi awr agar 3 ba'r Subhan ALLAH kehne ki miqda'r takheer karke utha to sajdah sahw wajib hai. (Aalmagiri J1 P65)
✳ *_Fajr Ki 4 Awr Asr Ki 6 Rakt Padhli_* ✳
📌 *Masa'la :* agar kisine bhool kar Fajr ki Nama'z 2 rakt ke bajaye 4 rakt ya Asr ki 4 rakt ke bajaye 6 rakt padhli awr qaedah akhirah karne ke ba'd ye zayed rakatein padhi hain to farz ada hogaya awr wo 2 zayed rakatein nafl hojayengi magar akhir me sajdah sahw karna wajib hoga. (Shami J1 P700)
*Ek Shabah Ka Izalah*
📌 *Masa'la :* Nama'z Fajr ke ba'd suraj nikalne tak yunhi Asr ke ba'd suraj doobne tak Nafl Nama'z makrooh hai to isse yeh shubah hosakta haike Fajr awr Asr me 2 zayed rakatein jo nafl hogayi hain wo makrooh hongi iska jawab yeh haike in dono Namazo ke ba'd nafl Nama'z padhni is waqt makrooh hai jabke qasadan padhe agar bhool kar ya kisi majboori ke sabab padhi to makrooh nahi hai. (Shami J1 P700)
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें