Masaael E Sajdah E Sahw 150

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Masael E Sajdah E Sahw 🥀*



🇮🇳 150

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

💮 *Baithkar Nam'az Padhne Mein Bhool* 💮

🔃 _Qaedah Akhirah Mein Tasshud Bhool Gaya Tasshud Ke Bajaye Alhamd Padhi._

📌 *Mas'ala :* Qaedah Akhirah me Attahiya'at padhna bhool gaya, ya Attahiya'at ke bajaye Alhamd Shareef padh diya awr Sal'am pherdia to yaad aate hi laute awr Attahiya'at padhkar Sajdah Sahw karke Nam'az pori kare. (Aalamgiri J1 P66)

🔃 _Jahan Jahan Qaedah Akhirah Ka Shubah Ho Wahan Qaedah Karta Jaye._

📌 *Mas'ala :* Kisiko rakaton me shubah hua ke kitni huye to is surat me kam ko maan kar jitni baqi reh gayi hain isko padhe, maslan 1⃣ awr 2⃣ me shak hua to 1⃣ maane awr 2⃣ awr 3⃣ me shak hua to 2⃣ maane 3⃣ awr 4⃣ me shak hua to 3⃣ maane, jahan jahan Qaedah Akhirah ka shubah ho wahan wahan Qaedah karta jaye awr akhir me Sajdah Sahw kare. maslan 2⃣ Rakt wali Nam'az me shak hua ke 2⃣ huye ya 1⃣ to 1⃣ maanle awr Qaedah karke Dusri Rakt padhe, kyunke mumkin haike yehi dusri rakt ho, yunhi 4⃣ Rakt wali Nam'az me shubah hua ke 4⃣ huye ke 3⃣ to 3⃣ maanle awr Qaedah kare kyunke shak ki surat me ye mumkin haike jisko 1⃣ maana hai wahi dusri ho, yunhi jisko 3⃣ maana hai wahi Chawthi ho, awr awr 2⃣ Rakati me 2⃣ par awr 4⃣ Rakati me 4⃣ par Qaedah Farz hai, isliye jahan jahan Qaedah Akhirah ka shubah Rakt me shubah ki wajah se ho wahan wahan Qaedah karta jaye Taake Farz ada hojaye awr Akhir me Sajdah Sahw kare Nam'az hojayegi. (Fatawa Razawiya J3 P668) 

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Huzoor Ashraful Fuqaha Maddazillahul Aali*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है