Janboojh Kar Namaz Tark Karna Kaisa Hai
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Janboojh Kar Namaz Tark Karna Kaisa Hai 🥀*
✍🏻 Jaanboojhkr bila uzre sharee Namaz tark karna gunahe kabeera w haraam hai.
📝 *Sarkare Aalahazrat علیہ الرحمہ irshad farmate hain :*
Jo ek waqt ki Namaz bhi qasadan bila uzre sharee didah w danista qaza kare fasiq w murtakibe kabeerah w mustahiqe Jahannam hai.
*(📗 Fatawa Rizwiya, Part 5 Page 16, Android)*
📝 *Mazeed ek dusri jagah irshad farmate hain :*
Jisne qasadan ek waqt ki Namaz chori hazaron baras Jahannam me rhne ka mustahiq hua, jb tk taoba na kre aor uski qaza na kar le.
*(📗 Fatawa Rizwiya, Part 9 Page 21, Android)*
📝 *Huzoor Sadrushshriyah علیہ الرحمہ irshad farmate hain :*
Har mukallaf yani aaqil baligh pr Namaz farze ayen hai, aor jo qasadan chore agrche ek hi waqt ki wo fasiq hai.
*(📗 Bahare Shariat, Volume 1, Part 3, Page 445, Android)*
📝 *Mazeed ek dusri jagah irshad farmate hain :*
Jahanam me ek wadi hai, jiski skhti se Jahannam bhi panah mangta hai, uska naam wail hai, qasadan (janboojhkr) Namaz qaza karne wale uske mustahiq (haqdar) hain.
*(📗 Bahare Shariat, Volume 1, Part 3, Page 436, Android)*
✍🏻 *Wail (وَیل) kya hai❔*
Wail se muraad azab ki shiddat hai aor ek qaol ye bhi hai ki ye Jahannam me ek wadi hai, agr isme duniya ke pahar (پہاڑ) dal diye jayen to iski grmi ki shiddat se pighl jayen, yeh unlogon ka thikana hogi jo Namaz ko halka jante hain ya waqt guzar kr parhte hain, magar yah ki wo اللہ عزوجل ki bargah me taoba karle aor apni kotahiyon pr nadim hon.
*(📗 Jahannam me le Jane wale aamal, Part 1, Page 436)*
📑 Ek shkhs ki bahan faot ho gyee, jab use dafn krke laota to yaad aaya ki raqam ki thaili qabr me gir gayee hai, chunanche qabristan aakr thaili nikalne ke liye usne apni bahan ki qabr khod dali ! ek dil hila dene wala manzar uske samne tha, usne dekha ki bahan ki qabr me aag ke shole bhrak rahe hain ! Chunanche usne ju-tu qabr pr mitti dali aor sadme se choor choor rota hua maa ke paas aaya aor poocha : pyari ammi jaan ! meri bahan ke a'amal kaise the? wo boli beta q poochte ho? arz ki : "maine apni bahan ki qabr me aag ke shole bhrkte dekhe hain" ye sunkar maa bhi rone lagi aor kaha : "afsos ! teri bahan Namaz me susti kiya krti thi aor Namaz qaza karke parha karti thi".
*(📗 Namza ke Ahkam, Page No. 325)*
📝 *Note :- Jab waqt guzar kr Namaz parhne ka ye haal hai to unlogon ka kya haal hoga jo sire se Namaz parhte hi nahi.*
*(ہم اللہ عزوجل سے تمام آداب و کمالات اور وقت کی پابندی کے ساتھ نماز ادا کرنے کی توفیق مانگتے ہیں بے شک وہ جواد و کریم اور رءُوف و رحیم ہے۔)*
*(آمین بجاہ النبی الامین صلی اللہ تعالی علیہ وآلہ وسلم)*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें