Namaz Awr Hadeese Rasool
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hanfi Namaz Awr*
*Hadeese Rasool 🥀*
Post # 09
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
📌 Hamari Pesh Kardah Riwayat Ko Koi Gair Muqallideen Zaeef Kahe Ya Manne Se Inkar Kare To Aap Hum Se Rabta Karen.
✔ Namaz Me Jab Hath Bandhe Jayen To Wo Naaf Ke Niche Hon Aur Sidhe Hath Ko Ulte Hath Pe Is Tarah Rakhe Ki Sidhe Hath Ka Angutha Aur Choti Ungli Se Ulte Hath Ki Kalai Pakde Aur Upar 3 Ungliyan Hon, Yani Sidhe Hath Ko Ulte Hath Ki Kalai Pe Rakhna.
❌ Gair Muqallideen Sidhe Hath Se Ulte Hath Ki Kohni Pakadte Hain Hatho Ko Bandhne Ka Ye Tariqa Hadees Ke Khilaf Hai.
✅ *HADEES:* Hazrat Wa'il Bin Hujr Farmate Hain Maine Kaha Dekhu Huzoor Kis Tarah Namaz Padhte Hain? To Mai Ne Dekha Aap Namaz Ke Liye Khade Huye, Takbeer Kahi, Aur Apne Dono Hath Uthaye Yahan Tak Ki Kano Ke Qarib Kar Liye, Phir Apna Dayan Hath Bayen Hath Ki Pusht Pe Rakha Aur Kalai Ko Pakda. {ﺻﺤﯿﺢ ﺍﺑﻦ ﺣﺒﺎﻥ، ﺻﻔﺤﮧ- ۵۷۷، ﺳﻨﻦ ﺍﺑﯽ ﺩﺍﺅﺩ ﺟﻠﺪ- ۱، ﺻﻔﺤﮧ- ۱۱۲، ﺑﺎﺏ ﺗﻔﺮﯾﻊ ﺍﺳﺘﻔﺘﺎﺡ ﺍﻟﺼﻠﻮٰﺓ، ﺳﻨﻦ ﺍﻟﻨﺴﺎﺉ، ﺟﻠﺪ - ۱، ﺻﻔﺤﮧ- ۱۴۱، ﺑﺎﺏ ﻣﻮﺿﻊ ﺍﻟﯿﻤﯿﻦ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻤﺎﻝ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻠﻮٰﺓ}
👉🏼 Hawale Me HADEES Ki Mustanad Kitaben Sahi Ibne Habban Abu Dawood Aur Sunane Nisai. Jild Page Aur Baab Ke Saath Likhi Gai.
🔄 Is Hadees Se 2 Baten Pata Chali Namaz Shuru Karte Waqt Kano Tak Hath Uthaye Jayen Aur Dusra Kohni Nahi Balki Kalai Pakdi Jaye.
❌ Ahlekhabiso Ka Kandhe Tak Hath Uthana Aur Kohni Pakadna Wo Hadison Se Dikhayen.
✅ *HADEES:* Hazrat Sahal Bin Sa'ad Se Riwayat Hai, Ki Logo Ko (Sahaba O Tabaeen) Ko Hukm Diya Jata Ki Namaz Ke WAQT Wo Apne Dayen Hath Se Bayen Hath Ki Kalai Pakde. {ﺻﺤﯿﺢ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﯼ، ﺟﻠﺪ - ۱، ﺻﻔﺤﮧ -۱۰۲، ﺑﺎﺏ . ﻭﺿﻊ ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﻋﻠﯽ ﺍﻟﯿﺴﺮﯼ}
👉🏼 Ye Sahi Bukhari Ka Hawala Hai Jiski Raat Din Ye Aqal Ke Dushman Rat Lagate Hain.
📌 Dekho Imame Bukhari Ne Tamam Sahaba Aur Tabaeen Ka Muttafeqah Amal Tumhare Khilaf Bataya Hai.
Jaari Hai.............
📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें