Namaz Awr Hadeese Rasool

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




           *🥀 Hanfi Nam'az Awr*
            *Hadeese Rasool 🥀*




Post # 21

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

✅ HADEES: ABU HANIFAH (Imam Azam) Hammad Se Wo Ibraheem Nakhi Se Wo Aswad Se Riwayat karte Hain Ki Abdullah Bin Masood رضى الله عنه Pehli Takbeer Me Hi Dono Hath Uthate Phir Iske Bad Kisi Waqt Nahi Uthate Aur Is Baat Ko Wo Huzoor Se Naql Karte Hain. {Musnade Imam Azam, Jild-1, Page-355}

👉🏼 Gair Muqallideen Musalmano Se 2-4 Maslon Me Hi Hamesha Ulajhte Rehte Hain Maloom Hota Hai Tamam Deen Inhe 2-4 Maslon Me Hai.

✴ Aur Khuda Ki Qudrat Dekhiye Unhi Masayel Me Inhe Muh Ki Khani Padti Hai Phir Bhi AQAL Thikane Nahi Aati. "بے حیا باش وآنچہ ہر خواھی کن" Jab Tujhe Haya Na Rahe To Jo Chahe Kar, Hum Ne Taqriban Masayel Ko Quran Aur Sahi Hadees Se Sabit kiya Jispe Ahnaaf (Hanfiyon) Ka Amal Hai.

✔ Masala Rafa Yadain Ruku Me Jaate Aur Uthte Aur Tisri Rakat Me Khade Hote Waqt Dono Hatho Ko Uthana Hadees Ke Khilaf Hai Aur Hum Ahnaaf Ka Amal Alhamdulillah Hadeese Pak Aur Sahaba Ke Amal Ke MUTABIQ Hai.

✅ HADEES: Abdullah Bin Umar رضى الله عنه Kehte Hain Mai Ne Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ko Dekha Jab Aap Ne Namaz Shuru Farmai, To Apne Dono Hathon Ko Uthaya Yahan Tak Ke Apne Kandhon Ke Barabar Kiya Aur Jab Rukoo Me Jate Aur Sar Uthate To Apne Hatho Ko Nahi Uthate Na Dono Sajdon Ke Beech Uthate. {Sahi Abu Awana, Jild-2, Safah-90}

⚡ TEHQEEQ: Imam Abu Awanah Ne Hazrat Sufyan Bin Aynah (سفیان بن عیینہ) Tak Is Hadees Ki Kul 4 Sanaden Zikr Kee. Jinme Se Chothi Sanad Imam Bukhari Ke Ustaz Imam Humaidi Ki Hai. Aur Ye Hadees Musnade Humaidi Me Inhi Alfaaz Ke Saath Aai Hai. {Musnade Humaidi, Jild-2, Safah-277, Hadis No-624}

Jaari Hai.............

📚 Hanfi Nam'az Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है