Namaz Awr Hadeese Rasool
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hanfi Namaz Awr*
*Hadeese Rasool 🥀*
Post # 14
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
✅ *HADEES:* IBNE ABBAS Se Marwi Hai Huzoor Ne Farmaya Imam Ki Qirat Tumhare Liye Kafi Hai Chahe Imam Jaher (Zor Se Padhna) Karta Ho Ya Sirr (Ahista Padhna) Dono Surton Me Kaafi Hai.
{UMDATUL QARI SHARAH BUKHARI Jild-6, Safa-12}
✔ Hum Ahlesunnat O Jamat Yani Huzoor Aur Sahaba Ki Sunnat Par Chalne Wale Aur Ummat Ke Behtareen Afraad Yani Sahabae Kiram Jinhe Zubane Nabuwwat Se Nujoome Hidayat (Hidayat Ke Tare) Kaha Gaya Unke Ijmai Faislon Ko Manne Wale Hain.
✴ Aaiye Sahaba Ke Farman Aur Unka Amal Dekhen Kya Wo Qirat KHALAFUL IMAM (Imam Ke Piche Quran Padhna) Ke Qayel The❓
📎 "HAZRAT ZAID BIN SABIT"ATA Se Marwi Hai Unho Ne Hazrat Zaid Se Pucha Imam Ke Sath Qirat Ke Muta'alliq Sawal To Aapne Jawab Diya Imam Ke Saath Kisi Chiz Me Qirat Na Ki Jaye. {Sahi Muslim Jild-1, Safa-215, Musannaf Abdur Razzaq, Jild-2, Safah-137, Musannaf Ibne Abi Shaibah Jild-1, Safah-376}
👉🏼 Is Me Sahi Muslim Ke Ilawa Musannaf Abdur Razzaq Ka Hawala Bhi Hai Jo ILME HADEES Ki Sab Se Pehli Kitab Hai.
🔃 ABAADLAYE ARBAH (Char Abdullah Naam Ke Mash'hoor Sahabi) Me Se 1 Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنه. Abu Wail Kehte Hain Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنه Se Imam Ke Piche Quran Padhne Ke Bare Me Pucha Gaya To Aapne Farmaya. Khamosh Raho Tumhare Liye Imam Ka Padhna Kaafi hai. {Musannaf Abdur Razzaq Jild 2, Safa 138, Musannaf Ibne Abi Shaibah, Jild 1, Safah 376, Motta Imam Mohammad, Safah100}
♦ Shabi (شعبی) Kehte Hain Mai Ne 70 BADRI Sahaba رضى الله عنهم (Jange Badr Jo Islam Ki Pehli Jang Hai Usme Sharik Hone Wale) Ko Paya Jo Imam Ke Piche Qirat Se Mana Karte The. {RUHUL MUAANI Jild-, Safah-152}
Jaari Hai.............
📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें