Namaz Awr Hadeese Rasool

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






          *🥀 Hanfi Namaz Awr*
            *Hadeese Rasool 🥀*




Post # 06

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

♦ Ahlehadis Jamat Ke Baani Miya Nazeer Husain Dahelvi Likhte Hain,

"Juma Ki Namaz Ho Ya Koi Aur Namaz Rasulullah ﷺ Aur Sahaba Amama Bandh Kar Padhte The. {FATAWA NAZIRIYA, Jild-3, Safah-272}

👉🏼 Lijiye Aaphi Ke Aalim Ka Faraman Hai.

♦ Maulana Sanaullah Amritsari Likhte Hain,

"Namaz Ka Masnoon (Sunnat) Tariqa Wahi Hai Jo Huzoor Se Bid-Dawam Sabit Hai Yani Badan Pe Kapde Aur Sar Dhaka Ho Topi Ya Imame Se. {FATAWA SANAIYAH, Jild-1, Safah-524}

♦ Gair Muqallideen Ke 1 Aur Alim Maulana Isameel Salfi Kehte Hain,

"Garaz Kisi Hadis Se Bhi Nange Sar Namaz Padhne Ko Adat Banana Sabit Nahi, Kapda Maujood Ho To Nange Sar Namaz Padhna Zid Ya AQAL Ki Kami Se Hai. {FATAWA ULAME AHLEHADEES Jild-4, Safah-286} 

✔ Hum Sunni Hanfi Namaz Shuru Karte WAQT Apne Dono Haton Ko Kano Ki Lao Tak Othate Hain Wo Is Tarah Ki 2no Anguthon Ka Sira Kaan Ki Lao Ko Lagta hai.

👉🏼 Ye Zahen Me Rahe Ki Ungliyan Na Khoob Mili Ho Na Khoob Chipki Hui Ho, Balki Unhe Unki Halat Pe Rakhe, Aur Dono Hath Ki Hateliyon Ka Rukh Qibla Ki Janib Ho.

✖ Gair Muqallideen, Naam Ke Ahlehadis Apne Dono Hath Aurton Ki Tarah Sirf Kandhe Tak Hi Uthate Hai, Aaiye Dekhte Hain Hadeese Paak Ke Mutabiq Ahnaaf Ka Tariqa Sahi hai Ya Gair Muqallideen Ka.

✅ *HADEES:* Wa'il Bin Hujr Farmate Hain Mai Ne Nabiye Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Ko Dekha Ki Jab Aap Namaz Shuru Farmate To Rafa Yadain Karte Yahan Tak Ki Aapke Dono Anguthe Aapke Kano Ki Lao Ke Barbar Ho Jate. {Sunane Nisai, Jild-1, Page-141, Sunane Abi Dawood, Jild-1, Page-112, Musannaf Ibne Abi Shaibah, Jild-2, Page-406, Hadees No-2425}

📌 Dekhiye Hadis Ki Kitni Badi Badi Aur Mustanad Kitabo Ka Hawala Maujood Hai.

Jaari Hai.............

📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है