Namaz Awr Hadeese Rasool
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hanfi Namaz Awr*
*Hadeese Rasool 🥀*
Post # 07
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
✅ *HADEES:* Hazrat Malik Bin Huweris Farmate Hain Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Jab Takbeer Kehte To Dono Hatho Ko Othate Yahan Tak Ki Unhe Kano Ke Qarib Kar Lete, Aur 1 Riwayat Me Hai Ki Kano Ki Lao Ke Barabar Kar Lete. {Musannaf Ibne Abi Shaibah Volume-2, Page-407, Hadees No-2427}
✴ Jis Kitab Ka Hawala Pesh Hua Hai Uske Likhne Wale Imame Bukhari Ke Dada Ustaz Hain Ilme Hadis Me Mohaddis Ibne Abi Shaibah, Gair Muqallideen To Sirf Bukhari Ki Bat Karte Hain Aur Hum Ne Alhamdulillah Imam Bukhari Ke Dada Ustaz Ka Hawala Pesh Kiya.
✅ *HADEES:* ABDULLAH BIN UMAR Se Riwayat Hai Huzoor Ne Farmaya, Jab Tum Me Se Koi Namaz Shuru Kare To Dono Hathon Ko Othaye Aur Hateliyon Ka Rukh Qibla Ki Taraf Kare, Kyu Ki Allah Uske Samne Hota Hai. {TABRANI, Jild-6, Safah-9, Hadees No-7801}
♦ Hamari Namaz Ko Koofi Namaz Aur Apni Namaz Ko Makki Madni Namaz Kehne Wale Ahlekhabiso Dekho Alhamdulillah Hum Ahnaaf Ki Namaz Ayen Hadees ke Mutabiq Shuru Aur Khatm Hoti Hai, Sayyedna Imam E Azam ABU Hanifa Nomam Bin Sabit Koofi Radi'allahu Tala Anh Ne Koi Mas'ala Deeni Ibadaat O Mamlat Ka Quran O Sunnat Ke Khilaf Nahi Bataya.
🔃 Mard Namaz Me Hath Naaf Ke Niche Bandhe.
📌 Sine Pe Bandhne Ki Hadise Bhi Maujood Hain, Aur Imame Shafai Ke Muqallideen Jo Naaf Se Upar Bandhte Hain Wo Bhi Sahi Hai. Hamara Naaf Ke Niche Bandhna Ye Bhi Sahi Hai.
❌ Gair Muqallideen Kehte Hain Naaf Ke Niche Hath Bandhne Ki Koi Riwayat Maujood Nahi Siway Hazrat Ali Ke Qaul Ke Aur Wo Bhi Zaeef Qaul Hai.
👉🏼 Ye Gair Muqallidon Ki Hadees Na Janne Ki Bina Par Hai.
Jaari Hai.............
📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें