Namaz Awr Hadeese Rasool
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hanfi Namaz Awr*
*Hadeese Rasool 🥀*
Post # 16
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
✔ Lafz Aameen Ka Tarjama Hai "AISA HI HO" Aur Aameen 1 Dua Hai Aur Dua Ahista Honi Chahiye Iska Saboot Quran O Hadees Se Pesh Hai.
✨ Hazrat Musa Alaihissalam Ne Allah Ki Bargah Me Dua Kee, Jis Pe Hazrat Haroon Alaihissalam Ne Aameen Kaha Ispe Quran Me Irshad Hua. "Tum Dono Ki Dua Qubool Hui" {Para-11, Ruku-14, Sure Yunus Ayat-89}
👉🏼 Is Par Tafseer Ki Kitabon Me Aaya Hai.
♦ Dar Asl Hazrat Musa Alaihissalam Dua Farma Rahe The Aur Hazrat Haroon Uspe Aameen Keh Rahe The Aur Allah Pak Ne Hazrat Haroon Ki Aameen Ko Bhi Dua Kaha. {TAFSIRE DURRE MANSOOR Jild-3, Safah-107.. TAFSIRE KHAZIN Jild-2, Safah-306, TAFSIRE IBNE KASEER, Jild-1, Safah-31}
👉🏼 In Tasafeer Ko Gair Muqallideen Bhi Motabar Mante Hain Utha Kar Dekh Len.
✔ Sahi Bukhari Me Hazrat ATAA Bin Abi Ribah Se Manqool Hai, Aameen 1 Dua Hai. {Sahi Bukhari Jild-1, Safah-107}
👉🏼 Sabit Hua Ki Aameen Dua Hi Hai To Dua Ko Kis Tarah Mangana Chahiye Ye Bhi Hum Quran Se Hi Pata Karen.
✅ *QURAN:* Apne Rab Se Dua Karo Gid-Gidate Aur Ahistah Beshak Had Se Badhne Wale Use Pasand Nahi. {Para-8, Ruku-14, Sure Araf Ayat-55}
✨ Hazrat Zakriya Alaihissalam Jo Hazrat Maryam Ke Khalu Aur Allah Ke Nabi Hain Unki Dua Ka Haal Bayan Karte Huye Quran Me Aaya Hai.
✅ *QURAN:* Aur Pukara Usne Apne Rab Ko Ahistah. {Para-16, Sure Maryam Ayat-3}
👉🏼 Aap Sahi Hadees Mangte Hain? Alhamdulillah Hum Ne Quran Se Hawale Pesh Kiye.
Jaari Hai.............
📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें