Namaz Awr Hadeese Rasool
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hanfi Nam'az Awr*
*Hadeese Rasool 🥀*
Post # 23
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
📌 Ab 2 Aur Masle Aise Hain Jisme Inka Ikhtelaf Hai Jise Mukhtsar Bata Kar Khtam Kar Raha Hun.
♦ Namaz Ke Akhri Rakat Puri Hone Par Hum Jo BaithTe Hain Use Qadah Kehte Hai Jisme Attahiyat Aur Durood Aur Dua Masoorah Padh Kar Hum Salam Pherte Hain.
✔ Is Qade Me Baithne Ka Sunnat Tariqa Ye Hai Ke Ulta Pair Bichay Sidha Pair Khade Rakhe Aur Sidhe Pair Ki 5wo Ungliyan Qible Ki Taraf Ho, Aur Ulte Pair Pe Sureen (Chutad) Ko Rakhe. Nigahen Daman Pe Ho Aur Dono Hath Ki Hateli Ghutno Ke Upar Ho Aur Sidhe Ho Aur Dono Hath Ki Ungliyon Ka Rukh Qible Ki Taraf Ho.
❌ Ahlehuggis Jab Baithe Hain To Dono Pairo Ko Bahar Nikal Kar Sureen Ke Bal Zameen Pe Baithe Hain Jaise Ki Aurten Baithti Hai, Ye Sunnat Ke Khilaf Hai.
✅ HADEES: Wa'il Bin Hujr Kehte Hain Mai Ne Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ke Piche Namaz Padhi, Jab Aap Qadah Me Baithe To Apna Bayan (Ulta) Pair Bichaya Aur Usi Pe Baith Gaye, Riwayat Kiya Is Hadis Ko Saeed Bin Mansoor Aur Tahawi Ne Aur Iski Sanad Sahi Hai. {Asarus Sunan, Jild-1, Safah-123}
📎 SAHABA KA AMAL: Abdullah Bin Umar Farmate Hain Namaz Me Sunnat Ye Hai Ki Aapka Sidha Paon Khada Rakhe Aur Uski Ungliyan Qibla Rukh Ho Aur Ulta Pair Bicha Kar Uspe Baith Jaye. {Sahi Bukhari Jild-1, Safah-114, Sunane Nisai, Jild-1, Safah-173}
👉🏼 Ye Sunnat Tariqa Hai Qaede Me Baithne Ka.
Jaari Hai.............
📚 Hanfi Nam'az Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें