Namaz Awr Hadeese Rasool
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hanfi Namaz Awr*
*Hadeese Rasool 🥀*
Post # 11
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
📌 Is Masle Par Quran O Hadees Se Chand Dalilen Hazir Hain.
💯 *QURAN:* Aur Jab Quran Padha Jaye To Use Kaan Laga Kar Suno Aur Khamosh Raho Taki Tum Pe Rahem Ho. {Para-9, Ruku-14, Sure Arafa Ayat-104}
♦ Is Ayat Me Saaf Hai Ki Quran Padha Jaye To Chup Raho Magar Gair Muqallideen Imam Ka Qaran Padhna Nahi Sunte Balki Piche Khud Bhi Sure Fatiha Padhte Hain. Kya Inka Ye Amal Quran Ke Khilaf Nahi❓
👉🏼 Ahnaf Ki Namaz Ko Kufi Namaz Kehne Walo Tumhari Namaz To Quran O Sunnat Dono Ke Khilaf Hai.
♦ Is Ayat Me LAFZE QURAN AAM Hai Aur Sure Fatiha Bhi Quran Hi Ka Hissa Hai Is liye Sure Fatiha Ho Ya Koi Aur Surah Jab Imam Padhe To Muqtadi Ko Khamosh Rehna Zaroori Hai.
✔ Jo Ayat Hum Ne Pesh Ki Uske Bare Allama FAKHRUDDIN Razi Apni Kitab Tafsire Kabeer Me, Aur Ibne Kaseer Ne Apni Tafsire Kasir Me, Aur Ibne Qidama Hambali Ne AL'MUGNI Me, Aur Khud Gair Muqallideen Ke Shaikhul Islam IBNE Taymiyah Ne Apne Fatawa Me Likha Hai Ye Ayat Namaz Me Imam Ke Quran Padhne Ke Bare Me Nazil Hui Hai.
✅ *HADEES:* ABDULLAH BIN ABBAS Se Marwi Hai Huzoor Ne Farz Namaz Me Qirat Ki Aur Aapke Piche Aapke Sahaba Ne Bhi Baland Awaz Se Qirat Ki Jisse Huzoor Ko Qirat Karne Gad-Bad Hui Phir Ye Ayat Nazil Hui. (TAFSIRE KABEER Jild-4, Safa-500)
✅ *HADEES:* IBNE JAREER NE ABDULLAH BIN MASOOD Se Riwayat Kiya Hai Huzoor Ne Sahaba Ko Namaz Padhai Aapne Suna Piche Kuch Log Bhi Quran Padh Rahe Hain To Aapne Salam Pherne Ke Bad Farmaya Kya Tum Log Sochte Samajhte Nahi❓Dekho Jab Quran Padha Jaye To Use Gaur Se Suno Aur Khamosh Raho Jaisa Ki Tumhe Allah Ne Hukm Farmaya. (TAFSIRE KABEER, Jild-4, Page-501)
Jaari Hai.............
📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें