Namaz Awr Hadeese Rasool

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



          *🥀 Hanfi Namaz Awr*
           *Hadeese Rasool 🥀*



Post # 08

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

♻ Aurten Namaz Pe Chhati Pe Hath Bandhe Aur Mard Naaf Ke Niche Ahnaaf Ke Nazdeek Ye Sahi Hai.

✅ *HADEES:* Hazrat Wa'il Bin Hujr Farmate Hain, Mai Ne Huzoor Ko Dekha Ki Aapne Namaz Me Apna Dayan (Right) Hath Bayen Hath Pe Rakha Aur Use Naaf ke Niche Bandha. { ﻣﺼﻨّﻒ ﺍﺑﻦ ﺍﺑﯽ ﺷﯿﺒﮧ، ﺟﻠﺪ - ۳، ﺻﻔﺤﮧ -۳۲۲، ﻭﺿﻊ ﺍﻟﯿﻤﯿﻦ ﻋﻠﯽ ﺍﻟﺸﻤﺎﻝ، ﺭﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﯾﺚ - ۳۹۵۹ } 

👉🏼 Ye Musannaf Ibne Abi Shaibah Ki Riwayat Hai.

♦ Jis Tarah Huzoor Ka Farman Hadees Hai Usi Tarah Sahaba Ka Farman Asar Kehlata Hai.

📎 *ASAR:* Hazrat Ali Farmate Hain Namaz Me Sunnat Ye Hai Ki Apna Dayan Hath Bayen Hah Par Naaf Ke Niche Rakha Jaye { ﺍﯾﻀﺎً } Ye Riwayat Bhi Musannaf Ki Hi Hai.

📎 *ASAR:* Hazrat Anas Faramte Hain 3 Chizen Nabuwwat Ki Sifaat Me Se Hai,

1- Sehri Me Der Karna.
2- Aftar Me Jaldi Karna.
3- Namaz Me Dayen Hath Ko Bayen Par Naaf Ke Niche Bandhna. 
{ ﺍﻟﺠﻮﮬﺮﺍﻟﻨﻘﯽ ﻋﻠﯽ ﺍﻟﺒﯿﮭﻘﯽ، ﺟﻠﺪ - ۲- ﺻﻔﺤﮧ - ۳۲، ﺑﺎﺏ - ﻭﺿﻊ ﺍﻟﯿﺪﯾﻦ ﻋﻠﯽ ﺍﻟﺼﺪﺭﻓﯽ ﺍﻟﺼﻠﻮٰﺓ }

📌 Zaire Naaf Hath Bandhne Par Hamare Pas Kul 11 Riwayaat Kutbe Ahadees Me Maujood Hain, Tawalat (Lambai) Ki Wajah Se Zaroori Hi Pesh Kar Diya Hai.

✔ ALHAMDULILLAH Hum Ahnaaf Ka Tariqae Namaz Namaze Rasool O Namaze Sahaba Se Milta Hai.

❌ Gair Muqallideen Apna Dayan Hath Bayen Hath Ki Kohni Pe Rakh Kar Sine Pe Bandhte Hain, Agar Gair Muqallidon Apne Is Amal Ko Siha Sitta (Hadis Ki 6 Sahi Kitaben) Se 1 Sahi Sareeh Marfoo Muttasil Hadees Dikha Den To Ye FAQEER E HANFI KALEEM RAZVI Unhe Muh Manga Inam Dega.

Jaari Hai.............

📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

कुछ लोग थोड़ी ही दिन नमाज़ पढ़ते हैं और उनके माथे पर काला निशान बन जाता है कुछ इसे अच्छा कहते हैं तो कुछ लोग गलत बताते हैं सही मस्अला किया है* 07

नमाज़ में उंगलियाँ चटखाना कैसा है* 10

अगर कोई शख्स इमाम की बुराई करता है तो क्या उसी इमाम के पीछे उसकी नमाज़ हो जाएगी* 11