Namaz Awr Hadeese Rasool
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hanfi Namaz Awr*
*Hadeese Rasool 🥀*
post 12
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
🔃 IBNE TAIMIYAH Gair Muqallideen Ke Peshwa Kehte Hain,
"Salf Se Shohrat Ke Saath Ye Baat Mash'hoor Hai Ki Ye Ayat (Sure Araf Ki Ayat-104) Namaz Me Qirat Ke Bare Me Hi Hai Aur Imam Ahmad Bin Hambal Se Iska Ijma NAQL Kiya Hai Ye Ayat Namaz Me Quran Padhne Ke Bare Me Hi Utri Hai. (FATAWA IBNE TAIMIYA Jild-23, Safah-269)
✨ Hazaron Lakhon Karodon Rehmaten Aur Salam Ho Sayyedna Imame Azam Abu Hanifa Radi'allahu Tala Anh Par Jinho Ne Quran O Sunnat Ki Roshni Me Fiqhi Masayel Bayan Farmaye Aur Ummat Ke Tamam Deeni Mamlat Ko Allah O Rasool Ki Marzi Ke Mutabiq Ada Karne Ki Taleem Ata Farmai.
✔ Namaz Me MUQTADI Ko Imam Ke Piche Sure Fatiha Ya Koi Aur Surah Padhna Jayez Nahi Hai.
❌ Gair Muqallideen Imam Ke Piche Sure Fatiha Padhne Par Bahot Zor Dete Hain Aur Chahte Hain Ki Sab Ki Namazen Kharab Ho.
📌 Imam Ke Piche Sure Fatiha Padhne Ke Jawaz Me Gair Muqallideen Ke Pas Kul 4 Hadisen Hain Kash Use Bhi Wo Sahi Se Samajhte To Ye Bakwas Na Karte.
✔ Aur Alhamdulillah Imam Ke Piche Sure Fatiha Na Padhne Par Hamare Pas Quran O Ahadees Aur Tafaseer Aur AQWALE Sahaba Se 50 Se Zaa'id Daleelen Maujood Hain.
🌟 FARMANE MUSTAFA Sal'lallahu Alaihi Wasallam.
✅ *HADEES:* Hazrat Abu Musa Ashari Se Marwai Hai Ki Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ne Hame Sikhaya Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Ho Aur Tum Me Ka Koi Imamat Kare Pas Jab Imam Qirat Kare To Tum Khamosh Raho. {Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Jild-4, Safa-415}
Jaari Hai.............
📚 Hanfi Namaz Awr Hadeese Rasool
*📝 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें