NAMAZ-E-KASAR
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 NAMAZ-E-KASAR 🥀*
*SAWAL*
Qasr ki namaz main sunnat ...nafil padne k liye kya hukm hai
*JAWAB*
4 rakat wali sirf farz namaz men qasr hai ya'ni musafir 4 rakat wali farz namaz sirf 2 rakat padhega
✏️Aur sunnat namazon men qasr nahin sunnat namazen poori padhi jaayengi
✏️Haan sunnat ka jo taakeedi hukm haalat e iqamat men hai oh taakeed haalat e safar men nahin
✏️Huzoor sadrushshari'ah badruttariqah عليه الرحمة والرضوان irshad farmate hain
✏️Agar safar men itminaan na ho jab to sunnaton ke tark men koi qabaahat hi nahin aur itminaan ho jab bhi sunan ka ta'akkud jo hazar men hai oh safar men nahin rahta keh safar khud hi qaaim maqaam mashaqqat ke hai ..............aur ye hukm sunnat e fajr ke gair ka hai aur sunnat e fajr chunkeh qareeb bawujoob hai
✏️lihaza safar ki wajah se us ke tark ki ijazat nahin aur ba'z aimmah ka ye qaul bhi hai keh magrib ki sunnaten bhi tark na kare kiyon keh huzur e aqdas صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne safar o hazar kahin bhi isko tark nahin kiya hai
📚(FATAWA AMJADIYA JILD 1 SAFAH 284)
*والله تعالٰی اعلم*
✏✏✏✏✏✏✏
*✍️DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI*
Khadim Razvi Amjadi darul Ifta
(Barkati islamice centre)
48/crystal house masjid st near dawood khan tailor bhindi bazar Mumbai 400003
Khateeb o imam
GAREEB NAWAZ MASJID
noor banglah naya nagar mahim shareef mumbai
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें