Pant Fold (Samet) Karke Namaz Padhna Kaisa

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Pant Fold (Samet) Karke Namaz Padhna Kaisa 🥀*
                           


                        
*👖 Part:-02*

*Hadees 01:* حَدَّثَنَا آدَمُ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ أَبِي سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيُّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ مِنَ الإِزَارِ فَفِي النَّارِ ‏"‏‏.‏

Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه se rivayat hai NABI e Kareem صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Jiska libas Niche Latke Woh Jahannam Me.

(Sahi Bukhari, Vol 03, Kitab No 77, Kitab Al Libas, Baab : Kapde Ka Wo Hissa Jo Takhne Se Niche Ho Wo Jahannam Me , Hadees : 5787 Arabic) (Sahi Bukhari, Vol : 07, Book 72 , Hadith : 678 English)

Ye Hadees wo batate hai kehte hai Takhna Dikhna Sunnat hai lihaja Namaz me dikhna jaruri hai ye log khud to uljhe hai aur awaam ko bhi uljha dete hai par ek hadees ko padhke saare masail nhi nikale jaate uske liye mazid mutalle ki jarurat hoti hai Halanki ye hadees se murad wo nahi hai jo direct maane inlogo ne liye hai pehle iska thoda pasmanjar bata de taaki sab aasani se samajh aajaye iska talluk Takkabur se hai iski tafseel mulahiza ho phr hadees bhi bayan ki jaygi is talluk se.

Aur iski tafseel yeh hai ⤵

Iska pasmanzar padhe ki jab shuru me log islam me dakhil hue us waqt unme bahut saare log gareeb the ,gurba pehle islam me aaye,toh unke paas libas tha nahi thik se ,baaz musalmaan ka yeh haal tha ki tehband pehna hai toh pait khula hai pait dhakne jaaye toh sharam gaah khul jaye aur woh b itne chote libas hote the ki takno se upar ghutno tak hote the woh ,gurbat ka yeh aalam tha, tab abu jahal ne yeh kiya ek bahut bada jhubba tayar kiya ,jisko 3-4 log uska jhubba pakad kar chalte the saath me , Abu jahal wa deegar kuffaro musalmano ko taana diya krte aye musalmaano dekha tum jis rab ka qalma padhte ho us rab ne tumhe kya diya siwaye muflisi k gurbat k ?? aur dekho mere hubal ne mujhe kitna nawaza hai tab ALLAH k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya jo libas taqabbur ki niyat se takno niche hai woh jahannami hai Aur hum apni taraf se nahi kehrahe hai balki puri hadees badmazhab sunate nahi,inko jo accha lagta hai woh tukda uthate hai kisi kam ilm ya lailm ko sunadete hai aur apni taraf ma’eel karte hai. Is hadees ka talluk takabur ghamand se hai jiska saboot hum pesh kar rhe hai hadees e sahi se mulahiza ho.

👉🏼 Ab aaye kuch hadees aur dekhte hai jis se saabit hoga is hadees ka khulasa k yaha taqabbur ki wajah se woh libas jahannam me hai naaki saare libas.

*✍️Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Masaael E Sajdah E Sahw 130.

Masaael E Sajdah E Sahw 129.

नमाज़ हर मोमिन मुसलमान पर फर्ज है